Thursday 31 January 2008

Jikr tera hote hi aankhen nam ho jaati hai…
Aaj bhi tere dukh se meri dhadkan tez ho jaati hai…
Jitni himmat hai meri utna to sath diya hi hai…
Ye uljhan teri, meri hi wajah se hai…Aaj pehli baar jeene ka dukh hua hai mujhe...
Khushiyan mai tujhe deti hun, gam kyu sath mai aata hai...
Dil ki kabr se uth ke tujh tak pahuch jata hai…
Sach maan subah ki pehli kiran hawa ka pehla jhoka dena chahati hun...
Teri mathe ki lakeeron se wabasta hona chahati hun...
Kya apni chahato ka bojh tujpe maine dala hai ??
Tujhe yu tadapte dekh meri chahat ne mera gala ghot dala hai…
Kuch nagawar palaon ne mujhe bhi tadpaya hai…
Who pal tujhse jake mile, mera kaha thukraya hai…
Ek baar bharosa kar mujhpe… un palon ko mana lungi mai…
Teri uljhan khatam na ho jab tak, sath tera dungi mai…

Thursday 10 January 2008

आखरी मौका !!

अब अकेले ही रहने दो....आदत सी हो गयी है...
बार बार हवा की तरह आके तुम इमान डगमगा देते हो...
एक आखरी मौका दिया था मैंने अपने आप को..और तुमको भी...
ज़ाया सा हो गया वो वक़्त कुछ यू लगता है मुझे ...
तुम अपने मे ही उलझे रहे और मैं साथ होके भी अकेली रह गयी ...
गलती ही हो गयी शायद , धीरे धीरे सब सही ही हो जाता ...
पर फिर से वापस पहली सीढ़ी पे आ गयी हूँ ...
दोबारा से संभालना है, मन लगाना है, जीना है ...
पर अब भूल के भी वापस न आउंगी, तुम समझ न सके पर इस बार आखरी मौका ही था...जो ज़ाया हो चुका है ...

Sunday 16 December 2007

...Marr Jaaye..!!!!


Pyar se aise na hume dekho..ki kahin na hum marr jaaye....

Jadoo Nazron se na chalao, Is tarah se na Muskurao..

Ki mohabbat na kar jaaye......

Ye ishara ye jo tune kiya hai, is ishare pe sab kuch fida hai...

Band honton ki sargoshiyan, keh rahi kuch to khamoshiyan...

Gehri sansen hai tez dhadkan hai..kya bataye kya silsila hai...

Dil ke sholon ko yu na bhadkao..ki kahin na hum marr jaye..


Kya haseen dilnasheen silsila hai..sath jabse tumhara mila hai..

Sabr jaga hai ehsaas mai..sirf tum ho nai pyass mai...

Dard duri ka na saha jaaye..haal kaisa hai kya pata......

Paas aa jao, na yu tadpao....ki kahin hum na marr jaaye...

Wednesday 31 October 2007

"Sath"- Dedicated to my Best Friend SHARDA

Hum mile..hum dost bane hum sath the…
Hase bhi sath, roye bhi sath..teri daant se mai dari bhi..
Bitaye hain who pal sath jo mai bhula na paungi…
Aur bahut pal aise hi banyegnge hum sath jo bhula na payenge…
Waada bhi kiya hai maine tujhse,
chahae meelo dur rahu mai tumse…teri ek awaz pe chali aaungi mai…
Waada ye bhi hai..teri zindagi mai khushiyon ki dua mangungi mai..
Chahe ab mai wahan tere sath na hun..
Par humara sath humesha ka hai..!!!!

Monday 29 October 2007

"Khwaab"

Aa aasman se neend ka sauda Karen, ek khwab de ek khawab le…
Ek khawab jo aankhon mai hai aa usko pura Karen..
Sharma ke teri aagosh mai pighalne bhi de…
Bolke halke halke kano mai mere …sanson ko uljha de meri sanson se..
Do lafz the, ek baat thi... umre lagi teri khamoshiyon ko bolne mai…
Sau saal ka who ek pal tha…us pal main puri sadiyan bita den…
Aa aasman se chand ka sauda karen..roshani se bhar de apna jahan....

Sunday 23 September 2007

huh...Intezar hai....


Jis Ki Gurbat Main Qarar Bahut Hai,

Uss Ka Milna DushWaar Bahut Hai.............

Jo Mere Hathon Ki Lakeeron Main Nahi

... Uss Shaks Se Mujhe Pyaar Bahut Hai...

Jazbaat Jitne Bhi Hain Dil Mein...

Mere Hi Jaise Hain Woh Be-Zuban...

Jo Tum Se Shabdon mai Main Keh Na Payi...

Meri Khamoshiyan ko woh bayaan karne ka intezaar bahut hai...


Saturday 21 July 2007

...Rang...???

Astitva hi bachana bhul gaye hum is rang birangi duniya mai..
Chaha tha maine sath kabhi aur sath hi mujhse choot chala..
Chaha tha maine pyaar kabhi who hi begano sa nikla..
Apne astitva ki keemat mai maine apni chahaton ko chaha tha…
Aur Har chahat aasq bankar palko ko bhigo kar chali gayi..
Shayad keemat kam thi meri, ya chahatain najaayaz thi..
Koi mujhko mulya bata de meri chahaton ka
Koi mujko raasta dikha de boondon ki tarah bikhre astitva ko sametne ka..
Har rang mai lipti hui ab berang si dikhne lagi hu..
Janne kab aisi barish hogi jo ye rang mita ke jayegi…
Par duniya ne hi ye rang diye hai mujhe ..to aaj koi mud kar kyu nai dekhta hai ….
Ab jakar jana hai…dusron ke rang mai ranga hi galti thi meri…
Wo waqt kahan se laun jab koi rang na chadha tha mujhpar..
Hmm...Par Waqt bhi rehta nai kisi ke liye thera..iski adat bhi aadmi si hai